A long never ending night!*

Puneet Sharma
3 min readApr 25, 2022

Bhatakti reh gayi raat meri unki baajuyon mei so na paayi,

Bahut kuch paa lia duniya se bas yehi ek cheez thi jo ho na paayi!*

Aksar kuch yaad toh nahi rehta , magar yaad hai mujhe woh din , Shayad isliye mujhe der ho rhi thi. Ab tak nikal jaana chahiye tha. Unhone toh keh dia. Magar mera dil unke vaadon ke uljhe hue jazbaaton me fass kar baitha rha. Wo vaade sirf vaade nhi they, balki pura samay tha. Unko kuch banane ka, unke maa baap se dmilane ka , Wo saara samay jo humne ek sath bitaaya tha. Mujhe wo samay uske aane se pehle chhod kar nikalna tha. Toh main utha, us sirhane ko lekar jispar humari pehli raat ki yaadein bichhi hui thi. Mere kamre ki AC wali khidki jahaa se thodi si roshni bahar streetlights ki padti rehti thi. Parda kheechkar andhera kiya kamre me taaki humare tootte hue rishte ki sachchai par raushni naa pade. Apne sandook se woh dairy nikali thi aur us mein padi woh kahani dobara padi. Phir kuch purani folder mei padi album nikali . Phir darwaaze ke paas khade hokar kamre me nazre ghumayi ki kahin kuch chhoot toh nhi raha. Aur ek gehri saans lekar darwaaza khola toh dekha ki darwaaze ke us taraf main khaada tha, murjhai hui aankhen lekar. Saalon pehle aakhri bar niklate hue yahaan see main khud ko le jaana bhool gaya tha!*

Shayad yahi humari sabse badi kamzori hai ki hum chah kar bhi un cheezo ke badalne ki kalpana bhi nahi kar sakte jo humare dil ke kareeb hain hum apne beete huye waqt ko itna kass kar pakde rehte hain ki humare aane wale waqt ki satah par chhaale nikal aate hain is khayal ko liye apne shehar ki galliyon me main purana kissa dhund raha tha ki achanak samne khade ek ladke ne apne dost se kaha ”sach mei woh kitna badal gaya hai na” aur theek ussi pal maine waqt ke parinde ko apne haath se udd kar us ladke ke kandhe par jaakar baithte dekha!*

Us din rokna toh chahta tha sunana bhi chahta tha phir wohi baat hai na jo kuch samay pehle mere zehan mei aayi uske kuch dino baad ki kisine pucha ki tumne kabhi ishq kia hai puneet mai bahut pareshan hoon usse door hona chahti hoon kaise karun mujhe ab pyar na raha usse,

Yeh baat us din usne gaur ki hogi ya nahi magar kahi thi ,

Ki tumhare dil mei nahi hai woh toh koi baat thodi hai!*
Tumne apne dil ki dor uske haath mei chodi hai!*
Ki De do azaadi usko khul ke jeene ka,
Agar baandh rakha usko toh woh pyaar thodi hai!*

Mai aksar cheezein bhool jaata hoon kabhi kabhi , jaise kisi apne ki di hui rubberband baandhke jaana , paper ke dauraan ghadi ni le jaana, bhulakkad toh nahi keh sakte lekin haan unke bina aadat nahi thi na, jaise subah jaana hai na sojao, jaane se pehle plate neeche chod ke jaana, kapde press kar lo light hai late ho jaoge nahi toh subah school ke liye, aaj bhi woh tumhare sath pehle mulaqaat mei daali hui jacket maine nahi dhoyi hai woh sambhaal ke almirah mei kaid kar rakhi hai, haan maana ab aadat nahi rahi mujhe tumhari magar khush hoon , kaafi ache apne mile hain , hansta hoon , majak bhi karta hoon, unko tang bhi karta hoon, baal bhi kheenchta hoon ,pinch bhi karta hoon ,kuch apne log hain ab chup karane wale ki khush raha kar , haal chaal puchne wale aur yeh kehna chahta hoon ki tumhare bitaye hue kisse unse share bhi karta hoon, pehli baar toh dost banana shuru kia hai, ghumna shuru kia hai , khush rehna seekha hai.

Ek mortein peene ki aadat ko chorh kar,

sudan aadmi tum shaandar ho!*

Gila tha na tumko ki gussa karta hoon,

Ab puch lena kisi se mai badal gaya hoon

Sabko mam karke hi bolta hoon!*

bina galti ki seekh adhuri hai,
sambhalne ke liye girna zaruri hai
jitne bhi daur aate hain zindagi me
har daur ke liye ek thokar zaruri hai

behroopiyaan hai galtiyan
upar upar tumhe chhalti hain
magar andar unke zindagi palti hain
isliye hone de unhe
karte raho galtiyan
galtiyaan karna galti nahi!*

Yeh gaana tum sab ke liye,

Shukriya!*

--

--