Kahani!*

Puneet Sharma
4 min readAug 13, 2022

Ke ab khush toh hain magar udaas rehne do,

jo daag lage hain unke daag rehne do,

Sudan ka dil toh bas nazmon mei lagta hai,

Yeh anatomy aur physio ki kitaab rehne do,

Ab khush toh hain magar udaas rehne do!*

Tum sab log soch rahe honge ki kaafi der hogayi koi kahani ya kavita saamne nahi rakh paaya. kaafi logon ne kaha bhi ki kya chakkar aaj kal likhta nahi hai kuch batata nahi hai.

Kaafi dino baad muskurana seekha hai, kaafi logon ne door kia hai, kaafiyon se khud door hua hoon, yehi cheez jab sochta hoon na toh yaad aata hai mujhe woh mera bachpan ka mera dost , actually mai shuru se hi aisa raha hoon ki na toh jyada log pasand na toh jyada dost banaye toh ek tha mera mundan, mere bachpan ka dost!*

Bachpan mei mere ghar ke peeche peerbaba hai jahan har shaam mai aur woh cricket khela karte they, uske papa ki kiryana ki shop thi, uski cosco ki ball aur mere paas reebok ka bat hua karta tha, reebok kyu kyuki us time dhoni ke bat mei woh sticker laga hota tha aur maine woh bat papa se mangwaya tha ki papa bat chaiye toh bas woh dhoni wala RBK wala!*

Tab hamare paas mobile phone nahi hua karte they isliye har shaam hum cricket khelna pahunch jaaya karte they, asal mei woh thoda late aata tha aur mai hamesha uske intezaar mei bat liya khada rehta tha,

Mujhe bas itna maloom tha ki woh hamare ghar se sadak cross karke saamne chemist wali shop wali gali mei rehta tha, muje wahan jaane se maa roka karti thi kyuki wahan se gaadiyan tez nikla karti thi, magar mai phir bhi chori chupe uske intezaar mei wahan ke 2–3 chakkar laga liya karta tha!*

Ek shaam mai aise hi jab bat leke khada raha magar woh nahi aaya maine kaafi chakkar bhi lagaye uske ghar maloom nahi tha magar uski gali mei bhi gaya , doonda aur shaam hokar ghar laut aaya,

Agle din phir wahi hua mai waise hi intezaar karta raha woh nahi aaya, aisa woh karta nahi tha , do din baad mai akele bat leke wahan pathar ke sath khelna shuru kar dia , wahan mitti ke pathar uthane aur uchaal kar apni bat se maarne laga, ab mere liye yeh naya khel ban gaya tha, akele wahan maidaan mei bat se aur pathron se khelta rehta aur mere bat mei woh pathron ke nishaan pad gaye they, kyuki mere paas koi aur upaay nahi tha waqt kaatne ke liye yeh karna padta tha,

Sach baat toh yeh thi ki maidaan na jaane ka sawaal kabhi mere zehan mei aaya hi nahi, kyuki kisi din agar woh khelne aa gaya aur mai use nahi mila toh?

we . From my mundan album.

Kitna ajeeb hota haina ki aap ek cheez ke hone ka intezaar karte ho aur jab woh hoti hai toh waisi nahi hoti jaisa aapne socha ho, isliye aapke andar ka ek hissa is baat se udaas rehta hai. Mai saal bhar uska intezaar karta raha magar woh kabhi bhi laut kar khelne nahi aaya!*

Kaise bhulu ek aadhi padi kitaab, kaise ginu zehan mei ubalte hue roz kahi naye sawaal, khidki ke darwaazon par ban rahi woh kuch tasveerein, Nikalte sooraj ke sath parindon ki awaaz mei woh boliyan kitna kuch chal raha hai is ruki ruki duniya mei!

Bada intezaar kiya hai logon ka laut aane ka kabhi kabhi sochta hoon kaash papa laut aate kitna acha hota, woh puraani yaadein laut aati, woh bichde dost laut aate,

Kuch sapne pure karne ke liye nahi hote, sirf zinda rakhne ke liye hote hain.

Unko hum “Adhoora” kehte hain.

Yehi kehna chahunga ki tum sab apne jo tumhare paas hain unko khona mat sambhal kar rakho, unka dhyaan rakho, Khush raho, pyaar karo, faraz saab ki kavitayein padho aur bas zindagi mei sab kuch bhula kar zindagi ko jeena shuru kar do !*

Some more pictures, and old memories

Bachpan se hi poser raha hoon :)
Aur rondhu bhi :)

Yeh geet tum sab ke liye, dua karunga meri kahani aur yeh geet pasand aayega,

--

--