Puneet Sharma
3 min readMay 17, 2022

--

The Drawer!*

Ae parinde jaake keh do ki sabke bina bhi jiya jaa sakta hai,

Maana yeh zehar hai magar piya jaa sakta hai,

Jaa rahe ho toh yeh chithiyan bhi leke jao jo kabhi untak pahuncha na paaye hum,

woh unke haathon likhi notebook woh rough copies bhi le jao,

aur keh dena ki yeh na soche ki unke bina reh na paaye hum,

Jaa rahe ho toh woh tasveerein bhi lete jao jo aaj bhi saamne rakhi hai,

aur agar haal puche mera toh bada dena ki zinda toh hain

aur zindagi ab yun hi achi hai!*

aur zindagi ab yun hi achi hai!*

From my gallery

Aaj phir woh bhara hua drawer khola
aisa lag raha tha ki jaise wahi duniya mei aa gaya hoon
ek aisi duniya jaise sab pehle jaisa hai
ek aisi duniya jahan kuch waisa hi jaisa mujhe chaiye tha
Ek aisi duniya jahan sab they
Dheere dheere himmat karke maine haath badhaya aur ek ek karke saari cheezein bahar nikali
patani kyu ek azeeb si gabrahat ho rahi thi jaise koi exam dene wala hoon
Sabse pehle purane khat mile jo mehaz kaagaz ke tukde reh gaye they usme likhe hue shabd simat se gaye they

Kuch rough notebooks mili unki jo aksar woh meri notebook mei likh diya karti thi,
Uske baad kuch toote hue hi sahi magar kuch vaade mile ek kone mei chipke maano dher saari shikayetein leke bethe hon
Uske baad kuch dil ke tukde mile is umeed mei ki koi aaye aur jod de woh dil jo khil khilake hansta tha ab bas uske kuch tukde hi bache they
Unke liye likhi hui kuch shayariyan mili , toote foote alfaaz mile , un alfaazon mei woh muskurata hua mila mujhe jo aaj sirf rona jaanta hai,
kuch beeti mulakaatein mili jo mujhse puch raha tha ki aare kahan tha itne din hamari yaad ni aati tujhe
Unse maangi hui bahut saari sorries aur tumhe rokne ke liye bahut saare efforts mile jo aaj b sirf ek hi naam le rahe they
Bekhauf sa woh pada hua kone mei dil mila jo kehne laga mujhse ki kisi ke jaane se mai thdi na kam ho jaata hoon mai aaj bhi waise ka waisa hi hoon
tum hi badal gaye ho dost,
Magar meri aankhein ek hi cheez ko talaash rahi thi
har kona doonda bahut talaasha magar tum na mile
Magar tum na mile

To the nights of downs,

to the days of emptiness,

Bahut koshish ki khud ko bachane ki, woh zakhm jo they kavitaon mei badal gaye, jo gaav bhare woh khud ko sambhalne mei lag gaye,

Bahut koshish ki khud ko na girne doon, bahut koshish ki khoon ragon se nikal doon, jo kahaniyan mujhe paas kheenchti hain un sab ko aaj jala kar raakh ko hawa mei baha doon,

Bahut koshish ki woh notebook ke woh panne jalane ki jisme sab yaadon ko bheegoke rakha tha ,

Bahut koshish ki khud ko logon se door rakhne ke liye jaise koi allergy ho , asthma ho ya diabetes ho ya ho kidney mei stone …..

Darta nahi hoon akele rehne se , darr toh is baat ka hai yeh khalipan hi dheere dheere khaaye jaa raha hai,

Darta nahi hoon subah jaldi uthne se , darr toh yeh hai ki pichli raat ko so na paaya mai,

Darta nahi hoon akele rone mein, darr toh yeh hai ki hansna sabke saamne pad jaata hai,

Darta nahi hoon khaana banane mei, darr toh is baat ka hai ki bana hua khaana bhi sadd jaata hai.

I know they know,

I dont have anyone back’s in my life now, but they dont think 100 times before turning your back to anyone,

I know they know,

I cant sleep properly because it requires peace, and they dont even think with the thought of stealing someone every good night.

I know they know.

I Dont pause my emotions, infact they have the control,

Thankyou for realising its impossible to unlove, just as walking in a shoe without a sole,

So bury my memories in a mud, I already said bye to their soul.

Two different poles apart never be in one bowl.

Two different poles apart never be in one bowl.

Aap sab ke liye ek geet bhej raha hoon

dua hai pasand aayega

mere dil ke bahut kareeb hai.

ho sake toh un tak bhi yeh geet pahuncha dena ae parindon

--

--