The empty home!*

Puneet Sharma
4 min readJun 10, 2022

Kya kya na socha tha, kya kya na sapne sajaye,

Kya kya na chaha tha, dil ne kya kya na armaan jagaye,

Is dil se toofan guzarte hain, Yun bin toh jeete na marte hain,

Aa jao laut kar sab , yeh dil keh raha hai!*

Aaj ka din ki ek kaahani hai , you know today is nirjala ekadshi vrat!*

Nirjala Ekadashi is a Hindu holy day falling on the 11th lunar day (Ekadashi) of the waxing fortnight of the Hindu month of Jyestha (May/June). This ekadashi derives its name from the water-less (Nir-jala) fast observed on this day. It is considered to be the most austere and hence the most sacred of all 24 Ekadashis.

Aaj ke din sabko paani pilaya jaata hai, aur vrat mei paani bhi nahi peena hota!*

Image from IPHONE , 11:39 AM , 10–06–2022

Woh din aaj bhi yaad hai , Maa ne vrat rakha tha , aur ghar par kuch adhoora adhoora sa tha , ek kami khal rahi thi , Maanji(Daadi) bahar charpayi pe bethe nayi pankhi bana rahe they ,maa rasoyi mei kaam pe aur unka ladka andar video game khel raha tha , beta aaja khana le, yun toh kam hi baar awaaz sunta tha magar us din dil mei alag si bechaini si ho rahi thi ki kuch acha acha nahi lag raha tha , toh achanak papa ke haath se paani ka gilaas niche gira sab bhaagte hue unke paas kadam badaya , saansein tez ho gayi thi sab kuch adhoora adhoora sa lagna band ho gaya , Maa daadi papa ko pakde bethe rahe aur woh ladka nange paun bhaag ke bahar awaazein lagata raha , lagata raha koi madad kardo , unko hospital leke jaana hai papa kaafi bimaar hain, Awaaz ka shor har taraf goonj raha tha magar koi sunne wala nahi tha!*

Aise dekhte dekhte awaazein lagate lagate kab saansein tez se kam ho gayi maloom hi nahi pada,

The world says “Anybody can build a house, but it takes a family to build a home”.
Every word of this sentence hold meaning. Home , this word in itself, feels warm, gives sense of joy, contentment and peace.

As today, after these many years, he stand on the threshold of his home.This is the same place jaha ek time pe kaafi shor hua karta tha , kahin baatein hoti thi toh kahin pe bhai behen ki nokjhok, kahin khana ban raha hota tha toh kahin news channel pe debate chal rahi hoti thi,

Aaj yeh sab nahi hai ghar khaali hai magar woh yaadein woh ehsaas barkaraar rehna chaiye, aksar puchte hain ki ghar pe jyada der kyu ni rehta jab dekho ghumta rehta hai , kyuki akela ghar nahi hai bas cement se bani dewaarein aur unpe tangi hui yaadon ki tasveerein reh chuki hain!*

In this home , there wont be that woman who used to nag him to eat food, who used to give the warmest hugs, aaj khud woh sabji khareed ke sochta hai ki kya banaun khane ke liye, aur ek time tha jab pucha jaata tha ki khayega kya jaa papa se puch ke aa. Today there wont be that man who is ready to do anything for him, showered him with the best of love, and provided me with everything I needed.

There wont be a old woman , who always see that bhookh lagi hai kya khayega, aur raat ko light band hone par unke paas jaake machardaani mei kahaniyan sunna woh sab kab kahan kho gaya maloom hi nahi pada.!

There wont be a girl, who troubled him all the time, and support him in his mischivious things, is baar bacha rahi hoon agle baar kiya pakka ghar pe suna dungi. Didi holidays homework mila hai kar do, aur tu kya karega, aare garmiyon ki chutiyan padi hain khelunga aur kya, Theher papaaaaaa dekho na yeh kya bol raha hai maine ni karke dena muje aur bhi kaam hain, aur dekho maarke bhi gaya hai.

Samay kaise badal gaya maloom hi nahi pada usko, He feels like he was a child yesterday, suddenly his family leave him too soon.

He remember the days when the results was came out and every parents feel that may his child recieved the prize on stage. and the first prize goes to. Principal sir woh nahi aaya , uska prize uske ghar de dena. not because he is not feeling well, because no one with him to collect that prize on that day. because coming with parents is compulsory!*

Saal guzar gaye, zindagi badal gayi.

waqt ne karwat le li, duniya idar se udar ho gayi ,

Kuch na badla to woh , jo ek khil khilata chehra tha,

uski kismat ka woh sabse khoobsurat tohfa tha.

Kal tak jo poore parivaar ki jaan thi, Aaj ek tasveer mei simat ke reh gayi!*

From gallery

Aap sab ko bhi

Happy NIRJALA EKADSHI!*

Puri zindagi yeh din yaad rahega , aap sab ki yaad mein!*

Aap sab ke liye geet bhej raha hoon, dua hai pasand aayega

--

--