Waqt lagta hai

Puneet Sharma
3 min readApr 6, 2022

Azmaishon pe azmaisheiyen hain,

Sabar rakhkar bhi sabar nahi aata,

Suna tha guzar jayega yeh waqt,

Magar guzarta tak nazar nahi aata!*

maine kisi se kabhi kuch nahi maanga
shayad isliye kisi ne kabhi kuch dene ka vaada bhi nahi kiya ,

Magar kal raat jab us sapne mei khud ko dekha toh yakeen aaya ki zindagi ko kis khushi se jeena hai yeh taraane hamesha aapki purani zindagi mei woh saaya bankar tumhare sath rehte hain.

Yakeen maano aaj ab bhi mai kisi se kuch nahi maangta
magar sabko bina bataye unse chura leta hoon
kuch patthar unsab ki hassi se
kuch rait unke aansuon se

kuch chhetein paani ki unki zulfon se
aur in sab ko mila kar ek ghar bana raha hoon
jisme main us umeed ko panah de saku
us toofan se
jo sabke chale jaane se meri zindagi me aayega!*

Ek din ki baat hai mujhe theek se yaad nahi kab lekin us raat andhere mei meri aankh khuli thi, halki halki si thand ka ehsaas ho raha tha mai apne kamre se bahar verandah pe aakar us andhere ka maza lene mei kho raha tha ghum ho raha tha. Pata nahi kya sukoon tha us andhere mei aaj tak nahi mehsoos kar paaya magar woh ehsaas woh khaalipan aaj tak mere sath hai aur jaayaz hai ki yeh hamesha mere sath mera humsafar bankar rahega.

Us raat phr un gali ke kutton ki awaaz suni, thand ka maza liya, shayad october ka mahina tha , woh street light jalti hui dekhi aur kursi leke raat ke 3 baje wahan beth ke upar aasmaan mei taare dekhta raha. Us raat chehre par ek smile toh thi par dil bhari bhari sa mehsoos ho raha tha. Us samay yeh realise hua ki loneliness is just like that. You are at your own home hoping there is someone who would listen about how your day passed, or just smike back at you at the door. But in the end you have so many stories to tell but no one to listen!*

Zindagi mei kuch paane se jyada khoya hai, yeh dil bahut zor se roya hai kuch apnon ko, kuch yaadon ko, kuch kahaniyon ko!*

Rahenge kuch pal kuch yaadein bana raha hoon naye dost bana raha hoon kuch kho raha hoon, kitnon se door ho raha hoon, yehi toh zindagi hai hum itni tez bhaag rahe hain ki bina peeche dekhe aur aaj jab mehsoos ho raha hai toh mai wahin aakar khada ho gaya hoon jahan pehle tha.You lose people around like the trees shed their leaves, they are gone before you realise.But guess what life goes on*

Aaj kisi ne kaha ki khush raha kar dost, aur yeh baat realise hui ki mai khushi bhul chuka hoon .Yeh 3–4 mahine kaafi ache nikle hain khush hona seekha hai kuch apnon se juda unhone seekhaya khush rehne ka matlab. Lekin ab mehsoos nahi ho raha wahin pe khada ho gaya hoon jahan pehle din khada tha!*

You know you have these kind of days where it seems like the end of the world and nothing makes sense but you need to believe, hope that you will have someone to share your smiles with, someone worth waiting for. This is not anything this is called Serendipity.

These are the days where you sleep with your lamp on, with hopes to wake up and have somebody to turn it off.
And i perhaps am a medical student and always work on theories but in this case i believe in serendipity!*

When I was a teenager i read somewhere,
Ki jisne jaana woh har haalat mei chala jayega
Aur jisne rehna woh har haalat mei wapis aayega.
— — — And it struck badly.
* And when it completes you . You never be the same person as you are!*

Kuch choti si kavita aap sab ke liye ,

Mere zakhm nahi bhar rahe , Mere nakhoon bhadte jaa rahe hain

Mai tanha darakht hoon apne ghar ka, Mere patte jhadte jaa rahe hain.

Apne sar pe makaan nahi hai par sab ke ghar bana rahe hain,

manzil nahi nazar aa rahi , lekin aage chalte jaa rahe hain,

Mere zakhm nahi bhar rahe , mere nakhoon badte jaa rahe hain.

Ek raat mai foot foot kar roya lagta hai phir se jugnoo itra rahe hain,

Ab khud bhi bhatakne laga hoon apne hi shehar mei,Raahi hi galat raasta dikha rahe hain,

Phir se khush rehne laga hoon, lagta hai sab mere aur kareeb aa rahe hain,

Mere zakhm nahi bhar rahe , mere nakhoon bhadte jaa rahe hain,

Mere zakhm nahi bhar rahe, mere nakhoon bhadte jaa rahe hain!*

Darakht — tree

--

--