Wounds

People carry their wounds wherever they go,

Puneet Sharma
3 min readMay 27, 2022

That’s what make people people!*

Kaafi dinon se sunta aa raha tha ki dost tum apni kahani kab sunaoge kab sunaoge aur mai hamesha us baat ko lekar taalta raha aaj, aaj nahi kal pakka , kal nahi agle din zaroor. Aise karte karte kab din, mahine, saal nikal gaya pata hi nahi laga.

Woh kahaniyan, woh halaat badal gaye , woh waqt badal gaya, woh shaqs badal gaya , mai badal gaya par woh dil jo kinsi naazuk sa dil jo kisi kone mei pada tha woh na badal paaya kabhi!*

Yun toh kaafi lamba samay ho chuka hai purani baaton ko magar aaj bhi aisa lagta hai ki jaise kal hi hua ho aur mai un sab cheezon ko sahi kar sakta hoon magar jaise hi aaj ki tareek dekhta hoon jo saare parde aankhon se hatke saamne beparda ho jaate hain.

Sunaunga kahani jab waqt aayega tum sab ko lekin un sab cheezon ko sunane se pehle kehna chahunga

ki ab woh woh nahi raha,

Woh jisko gaadi ki window seat mei bethke khushi milti thi

ab beech wali seat mei bina kuch bole beth jaata hai,

Aur baarish mein ghumne wala

ab ek boond bhi apne upar padne nahi deta,

Woh sabko sabse pehle message karne wala ,

ab reply mei bhi sahi se reply nahi deta !*

Haan shayad bahut door aa gaya hai woh ladka!*

Woh sabko hansne rone wale emoji bhejne wala ladka,

ab emotions ko andar hi chupa ke rakhta hai!*

Usne darakht, sitare, jharne, nadiyan, sab ko apna liya hai

ki kuch jagah mei bhaaripan aa jaaye!*

Haan Nhi yaad usko ki wo til unke kaunse gaal par tha.
uski dil ki dhadkano ke saaz par sabke dil ne jhoomna ab band kar diya hai.
Unki ghar wali sadak ka naam us par lage board ke sath sath uske zehan se bhi mit chukka hai.
Unke nhi hone ke khalipan ko us ladke ne apni saanson ki raftaar se bhar diya hai.
Waqt ne sab kuch itna sawaar diya hai ki ab sadak paar karte hue gar koi hath thaam le uska toh ajeeb lagta hai.

Aur sath college mei sabke paas bethne se alag jaakar bethna pasand karta hai!*

Unke door jaane ne itna badal diya hai ki ab woh samay se pehle kisi bhi jagah pahunch kar dusro ka intezaar nhi karta.
Unko maloom nhi hoga magar tumhare sath li hui har ek tasveer me woh khud ko ab ajnabi lagta hai.
Isliye usne apni saari kahaaniyon ko dobara unke jaane ka bad wale din ko zindagi ka pehla din maan kar likhna shuru kar diya hai!*

Jo sath chalta raha usko roka nahi
Jisne haath chod dia usko alag kar dia
wajah bhi nahi puchi shikwe gile sab band kar dia
Milna julna kam kar dia sabse umeed lagani kam chod di
Khwayishon ka gol bana kar pi gaya,
Kisi se maafi maangi aur kisi ko maaf kar dia,
Isi tarah apni zindagi ka naya mukaam kar dia,
Aur bhi they zamaane mei sitam jalaalat ke
aur ab kuch kuch kehte hain ki sudan ne

chup rehke na jaane kya gunaah kar dia!*

Ki usne chup rehkar na jaane kya gunaah kar diya!*

Is khat ke sath ek geet bhej raha hoon dua hai ki pasand aayega!*

--

--